PAN Card (Permanent Account Number) har us vyakti ke liye zaroori hai jo banking, business ya income tax se juda hua hai. Ise Income Tax Department, Govt. of India dwara jari kiya jata hai. Bina PAN Card ke aap 50,000 se zyada ka len-den nahi kar sakte.
PAN Card Kya Hai?
PAN Card ek 10 akshar (alphanumeric) ka unique number hota hai. Jaise – ABCPS1234X. Isme pehle 5 akshar English ke, agle 4 number aur aakhiri 1 akshar English ka hota hai. Is card par aapka photo, naam, pita ka naam, janm tithi aur signature hota hai.
Ye card aapke sabhi financial transaction ko ek jagah jodta hai, jisse Income Tax Department ko aapki income ka pata chalta hai.
PAN Card Kyo Zaroori Hai? 7 Bade Fayde
- 1. Bank Me Zaroori: 50,000 se zyada jama/nikaasi, naya bank account, FD karne ke liye PAN anivarya hai.
- 2. Income Tax Return (ITR) Ke Liye: ITR bharne ke liye PAN Card pehla document hai. Bina PAN ke ITR nahi bhara ja sakta.
- 3. Business Ke Liye: Dukaan, firm, company kholne, GST Registration, Shop Act License ke liye PAN lagta hai.
- 4. Property Kharidne-Bechne Me: Zameen, ghar ya gaadi kharidte time 5 lakh se upar ke transaction me PAN dena padta hai.
- 5. Demat Account Aur Share Market: Share bazaar, Mutual Fund me nivesh karne ke liye PAN zaroori hai.
- 6. TDS Se Bachne Ke Liye: Agar PAN nahi hai toh aapke paise par 20% TDS katega, PAN hone par sirf 10% katega.
- 7. Loan Aur Credit Card: Home Loan, Personal Loan ya Credit Card lene ke liye PAN Card maanga jata hai.
PAN Card Ke Prakar
| PAN Card Type | Kiske Liye |
|---|---|
| Individual PAN | Har aam nagrik ke liye |
| Minor PAN | 18 saal se kam umra ke bacchon ke liye (Photo nahi hota) |
| Company / Firm PAN | Business, Company, Partnership ke liye |
| NRI PAN | Videsh me rehne wale Bhartiya nagriko ke liye |
PAN Card Ke Liye Online Aavedan Kaise Kare?
Ab PAN Card banana bahut aasan hai. Aap 2 website se bana sakte hain – NSDL aur UTIITSL.
Step 1: Google par search karein NSDL PAN Apply aur official website par jayein.
Step 2: Application Type me New PAN – Indian Citizen (Form 49A) select karein.
Step 3: Apna naam, janm tithi, mobile number, email bharein.
Step 4: Aadhaar eKYC se apne documents upload karein. Aadhaar se OTP aayega.
Step 5: 107 Rupaye ki fees online pay karein.
Step 6: Form submit karte hi aapko 15 anko ki Acknowledgement Number milega. 7-10 din me PAN Card aapke ghar post se aa jayega aur e-PAN Email par aa jayega.
PAN-Aadhaar Link Kyu Zaroori Hai?
Sarkar ne PAN ko Aadhaar se link karna anivarya kar diya hai. Agar aapne link nahi kiya toh aapka PAN Card band (Inactive) ho jayega aur aap 10,000 rupaye tak ka jurmana bhi lag sakta hai. Aap incometax.gov.in par jakar Link Aadhaar Status check kar sakte hain.
Nishkarsh (Conclusion)
PAN Card aaj ke time me Aadhaar ke baad dusra sabse zaroori document hai. Agar aapki umra 18 saal se zyada hai aur abhi tak PAN nahi banwaya hai, toh turant online aavedan karein. Isse aapke sabhi financial kaam aasan ho jayenge aur aap Income Tax ke niyamon ka palan bhi kar payenge.
Q. PAN Card banwane me kitna kharcha lagta hai?
Ans. Naya PAN Card banwane me 107 Rupaye lagte hain.
Q. PAN Card kitne din me banta hai?
Ans. Online apply karne ke 7-10 din me e-PAN mil jata hai aur 15 din me physical card ghar aa jata hai.
Q. Kya 18 saal se kam umra me PAN ban sakta hai?
Ans. Haan, Minor PAN Card ban sakta hai.

